dariche khole rakhta hun

meri sochen kabhi mujh ko
bahut ranjur karti hain

mujhi se mujh ko koson dur karti hain
main aksar sochta hun

phir kisi se baat kar ke
waqt ka lamha koi zanjir karna hai

dil-e-sada-waraq par nam ek tahrir karna hai
magar main apni sochon par

amal phir bhi nahin karta
jo mere chahne wale hain

mujh se khush nahin rahte
main ye bhi jaanta hun

wo ba-zahir kuchh nahin kahte
magar main khana-e-dil ke dariche

khole rakhta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close