madh

(1)
kas tarah bayan ho tera paira-e-taqrir

goya sar-e-baatil pe chamakne lagi shamshir
wo zor hai ek lafz idhar nutq se nikla

wan sina-e-aghyar mein paiwast hue tir
garmi bhi hai thandak bhi rawani bhi sakun bhi

tasir ka kya kahiye hai tasir hi tasir
eajaz usi ka hai ki arbab-e-sitam ki

ab tak koi anjam ko pahunchi nahin tadbir
atraf-e-watan mein hua haq baat ka shohra

har ek jagah makr-o-riya ki hui tashhir
raushan hue ummid se rukh ahl-e-wafa ke

peshani-e-ada pe siyahi hui tahrir
(2)

hurriyat-e-adam ki rah-e-sakht ke rah-gir
khatir mein nahin late khayal-e-dam-e-tazir

kuchh nang nahin ranj-e-asiri ki purana
mardan-e-safa-kesh se hai rishta-e-zanjir

kab dabdaba-e-jabr se dabte hain ki jin ke
iman o yaqin dil mein kiye rahte hain tanwir

malum hai un ko ki riha hogi kasi din
zalim ke giran hath se mazlum ki taqdir

aakhir ko sar-afraaz hua karte hain ahrar
aakhir ko gira karti hai har jaur ki tamir

har daur mein sar hote hain qasr-e-jam-o-dara
har ahd mein diwar-e-sitam hoti hai taskhir

har daur mein malun shaqawat hai 'shimar' ki
har ahd mein masud hai qurbani-e-shabbir

(3)
karta hai qalam apne lab o nutq ki tathir

pahunchi hai sar-e-haraf-e-dua ab meri tahrir
har kaam mein barkat ho har ek qaul mein quwwat

har gam pe ho manzil-e-maqsud qadam-gir
har lahza tera tale-e-iqbaal siwa ho

har lahza madad-gar ho tadbir ki taqdir
har baat ho maqbul, har ek bol ho baala

kuchh aur bhi raunaq mein badhe shola-e-taqrir
har din ho tera lutf-e-zaban aur ziyaada

allah kare zor-e-bayan aur ziyaada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close