mujhe dasht-e-takhayyul ka safar karna agar aata tawaf-e-kaba karta, zindagi ko samt mil jati sahife dil ke sab bikhre hue mere sanwar jate gham-o-alam mere bhi, ghubar-e-rah ban jate mujhe dasht-e-takhayyul ka safar karna agar aata tazadat ab jo paida hain, wo paida hi nahin hote kahin kunj-e-sukun misl-e-madina mujh ko mil jata mujhe dasht-e-takhayyul ka safar karna agar aata jinhen dasht-e-takhayyul ka safar karna bhi aata hai hawa ke dosh par udte hain misl-e-gard-e-awara gidhon ka jhund ki mandla raha ho jaise murdon par mujhe dasht-e-takhayyul ka safar karna nahin aata nahin aata to achchha hai, nahin aae to achchha hai
This is a great awara dil shayari. True lovers of madina shayari hindi will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore pyar paisa shayari. Please share if you liked this!!!