dasht-e-wafa

dost kahte hain tere dasht-e-wafa mein kaise
itni khushbu hai mahakta ho gulistan jaise

go badi chiz hai ghamkhawari-e-arbab-e-wafa
kitne be-gana-e-ain-e-wafa hain ye log

zakhm-dar-zakhm mohabbat ke chaman-zar mein bhi
faqat ek ghuncha-e-mantiq ke gada hain ye log

main unhen gulshan-e-ehsas dikhaun kaise
jin ki parwaz-e-basirat par-e-bulbul tak hai

wo na dekhenge kabhi had-e-nazar se aage
aur meri hadd-e-nazar hadd-e-takhayyul tak hai

dil ke bhedon ko bhi mantiq mein jo uljhate hain
yun samajh len ki babulon mein bhi phul aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close