Dhol wala

us ne ghurbat ke badan pe
basanti chola pili pagdi

aur sunahri jacket sajai hai
wo tuti kursi pe

bosida dhol se pair tikae
udhda waqt

sabr ke dhage se sita hai
saji-sanwari gadi

pas se guzre to
aas aankh mein chamakti hai

us ki bhuk lapakti hai
apni khushiyon ke aangan mein

dhol ki thap par
us ke gham ko nachta dekh rahi hun

main soch rahi hun
us ki dukan ka mahnga sauda

kitne saste dam bika hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close