har shajar jag uTha

ghantiyan bajne lagin dhor chalte kheton ko
raste jag uthe sari faza jag uthi

subh-e-kazib ke dhundlakon mein ujale chhitke
har shajar jag utha baad-e-saba jag uthi

apne shanon pe sajae hue azmat ke nishan
apne kheton ki munderon ke nigahban chale

jin se tahzib ke goshon ne jila pai hai
un ziya-bar saweron ke nigahban chale

kachchi inton ke makanon ka muqaddar jaga
aag raushan hui uplon ka dhuan phail gaya

dar-o-diwar se yun pyar ke sae phute
zist ka saya bhi ta-hadd-e-guman phail gaya

shor karte hue shahzade gharon se nikle
jin ke malbus darida bhi hain bosida bhi

jin ke qadmon se lipatti hai mere ganw ki dhul
jin ki tauqir ko uthte hain jahan-dida bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close