dhyan qabr mein utarta KHayal

mera rasta qabristan se ho kar aage jata hai
is raste se aur bhi log guzar kar aage jate hain

lekin mere sath hi aakhir sae se kyun rahte hain
mere man mein aakhir kaisi virani qabron ki hai

raat ki khamoshi mein jhengur ki hain kaisi aawazen
kuchh din se mitti ki khushbu

kyun chipki hai sanson se
mere panw khak se lag kar kis ka matam sunte hain

mera diwaron ke andar dam kyun ghutne lagta hai
mere sar par bojh hai kyun katbon par likkhe harfon ka

mujhe agar ki khushbu kyun aati hai apne andar se
kyun meri aankhon mein kadwe tel ka dip sa jalta hai

mera sina phulon se kyun bojhal hone lagta hai
kyun is raste par chalte main khud se puchhne lagta hun

main qabron ke andar hun
ya qabren mere andar hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close