dipawali

jab se aai hai dipawali
har taraf chhai hai raushni

har jagah chahaton ke diye
sham hote hi jalne lage

phul-jhadiyon ka bazar hai
ye patakhon ka tehwar hai

dipon ka hai suhana saman
jin se dharti bani kahkashan

jitne rocket patakhe chale
aasman par lage hain bhale

ho gain dur tarikiyan
ab hain raushan zamin aasman

jab se aai hain dipawali
har taraf chhai hai raushni

ek mauqa hai pahchan ka
dil milati hai insan ka

chahaton ki ye taswir hai
ek nae yug ki tabir hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close