dusra bistar

sajae khwab aankhon mein
sahar se sham tak

anjaan rahon mein
ubharte dubte sayon ko takti hai

koi shahzada aa jae
bana kar khwab ka hissa

use le kar chala jae
khula rahta hai har lamha

daricha dard ka us ke
magar aata nahin koi

siyahi sham dhalte hi
nigal jati hai khwabon ko

ujalon chhod jata hai
use phir dusra bistar sajaane ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close