eid

chalo hum eid manaen ki jashn ka din hai
khushi ke git sunaen ki jashn ka din hai

rukhon pe phul khilaen ki jashn ka din hai
dilon mein prit jagaen ki jashn ka din hai

magar ruko zara thahro ye siskiyan kaisi
khushi ki rut mein dukhon ki ye badliyan kaisi

suno ye ghaur se maen bilak rahi hain kahin
ye dekho bachchon ki aankhen chhalak rahi hain kahin

kisi ke eid ke jode mein hai kafan aaya
kahin pe zakhmon se lipta hua badan aaya

koi to khilne se pahle kali ko lut gaya
kahin darakht hi apni zamin se tut gaya

kis ne kar diye pamal saya-dar shajar
jaden kahin pe katin aur kahin bache na samar

kahan hain wo ki jo khud ko khuda samajhte hain
wo jo ki amn-o-aman ke fasane kahte hain

wo jin ke hath mein rahta hai parcham-e-insan
hue hain un ke sab afkar-e-amn ab uryan

agar hain sahab-e-kirdar to zaban kholen
agar hain sahab-e-iman to phir wo sach bolen

hain muqtadir to bas ab rok len husam-e-jaur
ye bahti khun ki nadiyan musibaton ka daur

pa un se koi umid-e-wafa kare kaise
jo ba-dua ho mujassam dua kare kaise

jahan mein chaar taraf chikh hai karahe hain
sitam-rasida dilon se nikalti aahen hain

hai shor-e-nala-o-ah-o-buka chahaar taraf
kahan ki eid hai matam bapa chahaar taraf

manae kaise koi eid har taraf gham hai
manae kaise koi eid aankh pur-nam hai

sunae kaise koi git saz tut gae
jagae kaise koi aas apne chhut gae

magar ye eid ka din bhi to ek haqiqat hai
ki wajh-e-eid samajhna bhi ek ibaadat hai

chalo ki rote huon ko hansa ke eid manaen
kisi ke dard ko apna bana ke eid manaen

dilon se apne adawat mita ke eid manaen
kisi ke lab pe tabassum saja ke eid manaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close