ek KHat

samundar ne ye khali sipiyan
kaise ugal din

aa ke sahil par
main pahle bhi kaha karta tha

tujh ko yaad ho shayad
ki teri ruh ke gahre samundar mein

mera dil ek sipi hai
magar main ne kabhi teri mohabbat ko numaish mein nahin rakkha

main un logon se chidta tha
jo afsane kaha karte hain yaron se mohabbat ke

magar waise bhi duniya mein kisi ki kaun sunta hai
sunata hai koi jab apni baaten

sunne wali apni baaten yaad karte hain
magar ye kaisi raaten hain

ki aksar sote sote chaunk uthta hun
mujhe to nind bhi ek qarz chashm-e-ambar hai

main sota jagta rahta hun
ek aise musafir ki tarah

jis ko kisi chhote se station pe
gadi se utarta ho

tere hilte hue hathon se
ye kaisi hawa aai

meri jaan tujh se rukhsat ho ke
main kitna akela tha

aur duniya so rahi thi
us dil ki tarah

jis ne abhi rona na sikha ho
koi konpal

kabhi zor-e-numu mein
sang-basta khak se ladti hui

bahar nikalti hai
ki jaise shokh bachche

hath aur daman chhuda kar
ghar se bahar bhag jaen

aur guzargahon pe so jaen
guzar-gahon se bachchon ko utha kar lao

aur gahwara-e-jaan mein sula do
wo jagenge to un ke khwab pure ho chuke honge

so aakhir yun hua
ummid ki shakhon pe aise barg-o-bar aae

meri jaan
tera milna tishnagi ke dasht mein

wo aab-e-taza tha
jo shabnam bhi hai dariya bhi hai

aur ruh mein gham ho to aansu bhi
mujhe aansu nahin milte nahin milte nahin milte

wo shab bhi kaisi shab thi
jis ka naqd-e-subh ab tak qarz hai

jo mujh se puchhta hai
ab mehnat ko kahan le jaoge

kis dil mein rakhoge
main chup tha

tu bhi chup thi
aur khamoshi ke lamhon ke

guzarte qafile
sanson ki aawaz-e-jaras ja rahe the

ek manzil ki taraf
jo nisf jannat nisf dozakh thi

main kitna sang-dil hun
jo teri jannat pe khush hota nahin

dozakh pe hansta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close