gham

raat viran hai bahut viran
aasman lash hai jali hui lash

jis ke sine pe chiyuntiyon ki tarah
ek amboh hai sitaron ka

rizq chunte hain aur khate hain
khamushi se guzarte jate hain

hae ye raat hae hae ye raat
kab basar hogi kaise guzregi

koi dekhe meri nazar se use
koi chaara mujhe batae mera

kuchh ilaj us nazar ka koi dawa
ya phir aankhen hi noch le meri

hai masiha koi tabib koi
kaun mere alawa dekhega

jo meri aankh par bhi hai dushwar
gham ki azmat ko kaun pahchane

chhod kar zindagi ka karobar
kise fursat ki aankh uthae zara

shab ki viraniyon ka nauha likhe
aasman ka janaza padh dale

aur sitaron ka rasta roke
kise fursat hai mujh se baat kare

meri aankhon mein jhank kar dam-bhar
mujh se puchhe ki main ne kya dekha

bhari duniya mein kaun dida-war
kaun rakhta hai meri jaisi nazar

kaun puchhe ki main ne kya dekha
gham ki azmat ko kaun pahchana

kise fursat ki mujh ko pahchane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close