gulabi chonch

gulabi chonch mein kide liye udti hai gaurayya
jidhar ek aashiyan mein us ke bachchon ne abhi aankhen nahin kholin

magar hain bhuk se be-kal
machhere subh ki dhundli ridaon mein

purane chhapparon ki kokh se shanon pe rakh kar jal nikle hain
wahin par khanste hain chand mehnat-kash alao ke kinare bidiyan pi kar

falak-paima imarat ke liye mazdur patthar todte hain munhamik ho kar
sahar ki surmai dhundli ridaon mein

main gahri soch mein gum hun
saf-e-danish-waran kya in se bartar hai?


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close