guru-nanak

hain kahte nanak shah jinhen wo pure hain aagah guru
wo kaamil-e-rahbar jag mein hain yun raushan jaise nah guru

maqsud murad ummid sabhi bar late hain dil-khwah guru
nit lutf-o-karam se karte hain hum logon ka nirbah guru

is bakhshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru
sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru

har aan dilon wich yan apne jo dhyan guru ka dharte hain
aur sewak ho kar un ke hi har surat beach kahate hain

gird apni lutf-o-inayat se sukh chain unhen dikhlate hain
khush rakhte hain har haal unhen sab man ka kaj banate hain

is bakhshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru
sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru

din raat jinhon ne yan dil wich hai yaad guru se kaam liya
sab man ke maqsad bhar pae khush-waqti ka hangam liya

dukh dard mein apne dhyan laga jis waqt guru ka nam liya
pal beach guru ne aan unhen khush-haal kiya aur tham liya

is bakhshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru
sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru

altaf jinhon par hain un ke so khubi hasil hai un ko
har aan 'nazir' ab yan tum bhi to baba nanak shah kaho

is bakhshish ke is azmat ke hain baba nanak shah guru
sab sis nawa ardas karo aur har dam bolo wah guru


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close