maine ye kaha kab ki manane ke liye aa

main ne ye kaha kab ki manane ke liye aa
mujh kath ke ullu ko phansane ke liye aa

mere liye aa aur na zamane ke liye aa
bachche ko faqat dudh pilane ke liye aa

har roz wahi gosht wahi gosht wahi gosht
ek din to kabhi dal pakane ke liye aa

jo husn jawanon ke liye waqf hai us ko
ek bar to budhon ko dikhane ke liye aa

din mein kabhi hathon ki safai se girah kat
shab mein kabhi saman churane ke liye aa

us hur ko dekha to ye kahne laga har shakhs
aa aa mujhe langur banane ke liye aa

wo shaikh ki jis ki koi line hi nahin hai
us ko zara line pe lagane ke liye aa

farsuda tasawwur ke makodon ko masal de
ulfat ko udhar phenk kamane ke liye aa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close