ham-zad

shaikh-zaman-shadani
aao

khwab dekhte hain
yaad nagar mein sae phirte hain

tanhai siskari bharti hai
apni duniya tariki mein dub chali

bahar chal kar mahtab dekhte hain
shaikh-zaman-shadani

aao
khwab dekhte hain

hum se pahle kaun kaun se log hue
jo sahil par khade rahe

jin ki nazren pani se takra takra kar
tut tut kar bikhar gai hain

bikhar gai hain aur pani ka sabza hain
is sabze ke pichhe kya hai

aaj aqab mein
chhupe hue gardab dekhte hain

shaikh zaman shadani
aao

khwab dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close