itne bahut se rang

salakhon se udhar
kuchh darakht, ek sadak, kutte ki zanjir thame ek aadmi

aur ek dor jis par rang-birange kapde sukh rahe hain
jismon ke baghair ye kapde, bachchon ke baghair ye maidan

mohabbat ke baghair ye raste
duniya kitni chhoti nazar aati hai

rang-birange kapde sukh jaane par
ek aurat aaegi

tab ek ek kar ke ye qamizen, patlunen aur faraken
apne apne jism hasil kar lenge

tab maidan bachchon se
aur bachche khushi se bhar jaenge

ye chhoti si kaenat rangon se bhar jaegi
itne bahut se rang

ai aurat, itne bahut se rang!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close