izhaar

kaise main bhi bhul jaun
zindagi se apna rabt-e-awwalin

ek dur uftada qarye ke qarib
ek junun afroz sham

nahr par shisham ke ashjar-e-buland
chandni mein in ki shakhon ke tale

tere paiman-e-mohabbat ka wo izhaar-e-tawil
ruh ka izhaar the bose mere

jaise meri shairi mera amal
ruh ka izhaar kaise bhul jaun

kaise kar dalun main jism-o-ruh ko
aaj be-ahang-o-nur

tu ki thi us waqt gum-nami ke ghaaron mein nihan
mere honton hi ne di tujh ko najat

apni rahon par utha laya tujhe
zinda-e-jawed kar dala tujhe

jaise koi but-tarash
apne but ko zindagi ke nur se taban kare

is ko barg-o-bar dene ke liye
apne jism-o-ruh ko uryan kare

mere bose ruh ka izhaar the
ruh jo izhaar hi se zinda-o-tabinda hai

hai isi izhaar se hasil mujhe qurb-e-hayat
ruh ka izhaar kaise bhul jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close