jaise madhuban ki baala

chehra us ka surkh gulab
hont bhare yaqut se hain

jhil si gahri kali aankhen
chand jabin pe rahta hai

zulfon mein ambar ki khushbu
taj-mahal sa us ka jism

ghunchon se bhari dali ki tarah wo
lahraati bal khati hai

be-khaufi be-fikri mein
mast magan si rahti hai

jaise madhuban ki baala
jaise hasina ganw ki

jaisi 'hasrat' ki mahbuba
jaisi pyari shah-'qutub' ki

jaise ghazal wo 'mir' ki ho
han wo bilkul aisi hi hai

han wo meri mashuqa hai
meri hi mashuqa hai wo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close