kash

main aagahi ke is bhayanak daur se guzar rahi hun
jahan tamam lafz khokhle

aur be-mani lagte hain
jahan tamam sach jhut lagte hain

jahan insanon ke naqab mein
shaitan dikhai de jate hain

jahan har baat upri aur be-maqsad
si lagti hai

jahan har rishta matlabi aur khud-gharaz
dikhai deta hai

kash
ek bar phir se duniya husain nazar aane lage

kash
ek subh main so ke uthun

to meri aankh wahan khule
jahan main ne pahla khwab dekha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close