kash

mujh mein ai yar mere koi kamalat na dekh
khwab wo hun jo kabhi bhi na haqiqat mein dhala

koi sahil nahin manzil na koi moajiza hun
ahl-e-bazar ka chaha hua saman bhi kahan

jo labon par ho zamane ke na wo naghma hun
mere kahne se na rut koi suhani aae

meri chahat se na kaliyon pe jawani chhae
mere jazbon mein kashish suljhe khayalat na dekh

mujh mein ai yar mere koi kamalat na dekh
main to is dahr ka chhota sa bashar hun jis ne

jina marna bhi faqat mulk ki khatir chaha
zulmat-e-shab ke thapedon se ulajhne ke liye

zulm o aazar ke haiwanon se ladna chaha
mere hathon ne kai bar uthae patthar

mujh mein parwaz-e-baghawat ne panapna chaha
mere jazbaat-o-tasawwur mein badi shiddat thi

aag par chalne ki qadmon ko badi chahat thi
ladne walon mein kabhi ek mera nam bhi tha

apne hathon se kabhi ek mera nam bhi tha
khushnuma rang fazaon mein bikherunga kabhi

kuchh ujalon ke shajar main bhi ugaunga kabhi
chhoti hi shama sahi main bhi jalaunga kabhi

par kahan ho saka jo dil ne mere chaha tha
main ne rasta wo chuna ras na jo aaya tha

khud-gharaz shakhs ke har ek irade ki tarah
meri chahat ke qadam jaane kahan ja pahunche

jin mein hire si chamak lagta tha aa jaegi
mujh mein wo sang the jo mujh se tarashe na gae

apne sagar se guhar mujh se nikale na gae
mujh se rahon mein qadam soch ke dale na gae

ab ye aalam hai ki jine ke liye jita hun
ek afsos o kasak dil mein liye phirta hun

apne sine mein kai bojh liye barson se
rahguzar mein thaka be-sud safar karta hun

main hun sagar mein phansi tanha si kashti ki tarah
jis ki qismat mein siwa bahne ke ab kuchh bhi nahin

main wo gul hun jo mahakta to hai aangan mein mere
jis ki khushbu ne zamane ko diya kuchh bhi nahin

mujh mein ek haare sikandar ke siwa kuchh bhi na dekh
meri sirat mein farozan si hikayat na dekh

mujh mein ai yar mere koi kamalat na dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close