Khaali aaankhon ka makan

khali aaankhon ka makan mahnga hai
mujhe mitti ki lakir ban jaane do

khuda bahut se insan banana bhul gaya hai
meri sunsan aaankhon mein aahat rahne do

aag ka zaiqa charagh hai
aur nind ka zaiqa insan

mujhe pattharon jitna kas do
ki meri be-zabani mashhur na ho

main khuda ki zaban munh mein rakhe
kabhi phul ban jati hun aur kabhi kanta

zanjiron ki rihai do
ki insan in se zyaada qaid hai

mujhe tanha marna hai
so ye aankhen ye dil

kisi khali insan ko de dena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close