manzar se bichhaDne ka karb

hum apne manzar se bichhde
aaankhon mein us ka aks liye bhatak rahe hain

koi nai rut hamein panah dene lagti hai
to achanak

be-dua lamhon ko kuchh naya sujhta hai
aur sara manzar badal jata hai

jahan pur-asrar aahaten
hamein khauf ke jangal mein chhod aati hain

be-manzari roz hum se shikwa karti hai
subh jagte hain

to hamare chehron par sham hone lagti hai
ajnabiyyat ki dhund hamara saya chhin chuki hai

hamari apni zat mein fasle itne gahre ho gae
ki hum khud apni hi dastaras se bahar ho chuke

hum is manzar mein nahin dafnae ja sakte
jis mein hum ne janam liya tha

hum ek muddat se
aaankhon ki gathdi mein apne khwab bandhe

waqt ki dahliz par khade chikh rahe hain
lekin hamari aawaz kisi aur manzar mein rah gai hai

be-saut pukar par aasman ashk-bar hota hai
to hamari faslon mein bhuk chupke se ghus jati hai

dasht ne hamare shadab jismon se pani nichod kar
un mein pyas bhar di hai

idrak ki sarhadon ke us par
apne gum-shuda manzar ko hum ne kabhi nahin khoja

hamein khabar hai
hum sab ne mil kar apna manzar khud ganwaya hai

aur ab hum
apne qaht-zada badan mein chhup kar baith gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close