lams-e-aKHiri

na rowo jabr ka aadi hun mujh pe rahm karo
tumhein qasam meri warafta zindagi ki qasam

na rowo baal bikhero na tum khuda ke liye
andheri raat mein jugnu ki raushni ki qasam

main kah raha hun na rowo ki mujh ko hosh nahin
yahi to khauf hai aansu mujhe baha denge

main jaanta hun ki ye sail bhi sharare hain
meri hayat ki har aarzu jala denge

na itna rowo ye qindil bujh na jae kahin
ise khud apna lahu de ke main jalata hun

jo hum ne mil ke uthae the wo mahal baithe
ab apne hath se mitti ka ghar banata hun

tumhaare waste shabnam nichod sakta hun
zar o jawahir o gauhar kahan se laun main

tumhaare husn ko ashaar mein saja dunga
tumhaare waste zewar kahan se laun main

hasin mez subuk jam qimti fanus
mujhe ye shak hai main kuchh bhi to de nahin sakta

ghulam aur ye shaer ka jazba-e-azad
main apne sar pe ye ehsan le nahin sakta

mujhe yaqin hai tum mujh ko muaf kar dogi
ki hum ne sath jalae the zindagi ke kanwal

ab is ko kya karun dushman ki jit ho jae
hamare sar pe baras jae yas ka baadal

na rowo dekho meri sans thartharaati hai
qarib aao main aansu to ponchh kar dekhun

suno to soi hui zindagi bhi chikh utthe
qarib aao wahi baat kan mein kah dun

na rowo meri siyah-bakhtiyon pe mat rowo
tumhein qasam meri aashufta-khatiri ki qasam

mita do aariz-e-taban ke bad-numa dhabbe
tumhaare honton pe us lams-e-akhiri ki qasam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close