mujhe khol taza hawa mein rakh

ye jo fasl-e-furqat-e-asr hai
ise kat bhi

ye jo daftar-e-gham-e-zist hai
ise band kar

ise band kar ki wo but-farosh nahin rahe
jo asir the rukh-e-dahr ke

tere ru-ba-ru tere chaar su
shab hast-o-bud ki rah mein tere ham-qadam

tere aainon ki shikastagi ka bharam liye
koi aur kab hai mere siwa

koi aur kab tha mere baghair
magar ai rahin-e-dam-e-alast

mere waqiye ke muqaddamat se peshtar
meri bandagi ko farogh de

kabhi dopahar ke khumar mein
kisi aks-e-mauj-e-bala mein rakh

mere khak-o-khun ko nihaal kar
mujhe khol taza hawa mein rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close