mahsur tha

bahut gad-mad the
roz-o-shab ke wo sab tane-bane aur

na main mashshaq tha aisa
ki chadar koi bun leta

magar mahsur tha
aur jaanta tha ye mashaqqat

katna qismat mein aaya hai
so jaise ban pada ye kaam bhi pura kiya main ne

pa ab jab dekhta hun
apne roz-o-shab ka hasil

yani wo chadar
to kahta hun

ki ai logo!
use ham-rah mere dafn kar dena

koi puchhe to kah dena
are chhodo chalo ek chae pite hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close