mehman

aaj ki raat aur baqi hai
kal to jaana hi hai safar pe mujhe

zindagi muntazir hai munh phade
zindagi khak o khun mein luthdi

aankh mein shoala-ha-e-tund liye
do ghadi khud ko shadman kar len

aaj ki raat aur baqi hai
chalne hi ko hai ek sumum abhi

raqs-farma hai ruh-e-barbaadi
barbariyat ke karwanon se

zalzale mein hai sina-e-giti
zauq-e-pinhan ko kaamran kar len

aaj ki raat aur baqi hai
ek paimana-e-mai-e-sarjosh

lutf-e-guftar garmi-e-aghosh
bose is darja aatishin bose

phunk dalen jo meri kisht-e-hosh
ruh yakh-basta hai tapan kar len

aaj ki raat aur baqi hai
ek do aur saghar-e-sarshaar

phir to hona hi hai mujhe hoshiyar
chhedna hi hai saz-e-zist mujhe

aag barsaenge lab-e-guftar
kuchh tabiat to hum rawan kar len

aaj ki raat aur baqi hai
phir kahan ye hasin suhani raat

ye faraghat ye kaif ke lamhat
kuchh to aasudgi-e-zauq-e-nihan

kuchh to taskin-e-shorish-e-jazbaat
aaj ki raat jawedan kar len

aaj ki raat aur aaj ki raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close