maro na hamein daddy

maro na hamein daddy bachpan ka zamana hai
mausam hai ye hansne ka hans hans ke bitana hai

chhote se ye bachche hain aur itni badi lakdi
shaitan ki ye khala hathon mein hai kyun pakdi

ek din isi lakdi ko chulhe mein jalana hai
maro na hamein daddy bachpan ka zamana hai

sofon pe agar nachen daddy hamein mat roko
kuchh apni bhi izzat hai har baat pe mat toko

wo aap ki kursi hai ye apna thikana hai
maro na hamein daddy bachpan ka zamana hai

barsat mein nadiya ki sairen hamein karne do
gar dub ke marte hain daddy hamein marne do

is duniya se tan aae us duniya ko jaana hai
maro na hamein daddy bachpan ka zamana hai

tum bhi kabhi bachche the school se bhage the
kahte hain shararat mein shaitan se bhi aage the

hum aap ke bachche hain aur aap pe jaana hai
maro na hamein daddy bachpan ka zamana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close