maut ke us taraf koi sirr-e-nihan hai ki bazar hai kya sitaron ka taban koi qafila ya buland aur tarik diwar hai khak udti hai ya khushbuen hain rawan koi sahra hai ya ek chaman-zar hai koi apna bhi hai ya hujum-e-bala shahr-e-aghyar hai koi zinda bhi hai ya ki har samt nashon ka ambar hai ek khala hai ki phir bar-e-imkan hai rah pur-khar hai jang hai amn hai faisla hai wahan jit hai haar hai maut ke us taraf kuchh nahin hai to kyun sar pe aawezan wahshat ki talwar hai main hun ya nuqta-e-be-aman jism ke daere mein giraftar hai tu hai ya aaina-saz wal-asr ka mahw-e-didar hai