log sahme sahme hain har taraf siyasat hai be-panah wade hain lachche-dar baaten hain lafz ke jhamele hain ye kisi ka dawa hai aazmuda nuskha ek maut se mafar ka hai khud ko kah khuda koi hakim-e-zamana ban jabr-o-qahr karta hai aam log sab ki sab bol-baziyon se ab be-panah aajiz hain