mulamma ki anguThi

chandi ki anguthi pe jo sone ka chadha jhol
ochhi thi lagi bolne itra ke bada bol

ai dekhne walo tumhi insaf se kahna
chandi ki anguthi bhi hai kuchh gahnon mein gahna

chandi ki anguthi ke na main sath rahungi
wo aur hai main aur ye zillat na sahungi

main qaum ki unchi hun bada mera gharana
wo zat ki ghatiya hai nahin us ka thikana

meri si kahan chashni mera sa kahan rang
wo mol mein aur tol mein mere nahin passang

meri si chamak us mein na meri si damak hai
chandi hai ki hai rang mujhe is mein bhi shak hai

ye sunte hi chandi ki anguthi bhi gai jal
allah-re mulamme ki anguthi tere chhal-bal

sone ki mulamme pe na itra meri pyari
do din mein bhadak us ki utar jaegi sari

kuchh der haqiqat ko chhupaya bhi to phir kya
jhuton ne jo sachchon ko chadhaya bhi to phir kya

mat bhul kabhi asal tu apni ari ahmaq
jab taw diya jaega ho jaega munh faq

sachche ki to izzat hi badhegi jo karen jaanch
mashhur masal hai ki nahin sanch ko kuchh aanch

khone ko khara ban ke nikharna nahin achchha
chhote ko bada ban ke ubharna nahin achchha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close