kaamani khwab ki lau mein hansti hui kaamani sola baras ki taqwim mein fasl-e-gul ka koi tazkira tak na tha main ne battis battis jhad ruten kat din ab jo tamsil ke ek waqfe mein tum se mila hun to sanson mein nam chaal mein un zamanon ka rum ji utha hai jo ahd-e-zamistan mein yakh the saqar sa saqar kaamani khanda-e-gul ki kul zindagi ek gulchin ki wahshat bhari aankh hai ye chatakna ye khulna bahut sehar-awar sahi jagne aur sone mein ek khwab-e-mauhum se kuchh ziyaada nahin khwab-o-khwahish ajab silsila hai bahut dur bahti hui aabshaaron ka ek silsila jis mein koh-e-tazabzub ki khushbu bhi hai ahd-o-paiman ka jadu bhi khun se suron tak suron se us ek lafz tak jis mein ragon ka jauhar bandha hai kahin aimani ras kahin marwa thath bhageshiri bhairwin aur pahadi wo sab kuchh jo apne lahu mein dahakta chahakta hai jis ke tanazur mein hum bist-o-shash-sal pahle bandhe the unhi aabshaaron se mujh ko sada aa rahi hai so main ja raha hun nae sur uthane ki sargam ki farsudgi dida-o-dil bujhane lagi hai naya sur jise lafz tartib dete hain pahunche to jaano ki sanea ke lafzon se uthti nami tum tak aai pas umr ka hasil fan jaise sarfa-e-jaan kahin kuchh nahin bisat-o-shash-sal dar khidmat fan basar karda am ba-chashm-e-nam auraq-e-tar karda am dar faqiri guzar karda am harf sar karda am ye jo lafzon ki paighambari hai na hoti to ibrat sara mein bhala kaun jita main lafzon mein suskarta hun suna tum ne sur naghma-e-taza ka ye kitne qarnon se dil mein kisi sil ki surat jama tha ye ju-e-rawan tum tak aai magar kitne khurshid-o-mahtab aahang bante hue bujh gae kitne din gul hue kitni raaten dhalin khair kaisa hisab aise naghmon mein khun aur charaghon ke roghan ka ek pursa kise dun bhala koi aza-dar hai pursa-daron ki tamsil mein koi waqfa nahin
This is a great awara love shayari. True lovers of shadi ka bandhan shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore islamic jihad shayari. Please share if you liked this!!!