naqsh-e-pa

ye nim-khwab ghas par udas udas naqsh-e-pa
kuchal raha hai shabnami libas ki hayat ko

wo motiyon ki barishen faza mein jazb ho gain
jo khak-dan-e-tira par baras rahi thin raat ko

ye rahrawan-e-zindagi khabar nahin kahan gae
wo kaun sa jahan hai azal nahin abad nahin

daraaz se daraaz-tar hain halqa-ha-e-roz-o-shab
ye kis maqam par hun main ki bandishon ki had nahin

hai markaz-e-nigah par chatan si khadi hui
udhar chatan se pare wasia-tar hai tirgi

use phalang bhi gaya to is taraf khabar nahin
adam kharab-tar mile na maut ho na zindagi

hazar bar chahta hun bandishon ko tod dun
magar ye aahani rasan ye halqa-ha-e-bandagi

lipat gae hain panw se lahu mein jazb ho gae
main naqsh-pa-e-umr hun fareb-khurda-e-khushi

koi naya ufuq nahin jahan nazar na aa saken
ye zard zard suraten ye haddiyon ke jod se

hawa ke bazuon mein kash itni tab aa sake
dikha saken wo ahd-e-nau hi zindagi ke mod se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close