wassalam

pyare bete ibrahim
tumhein shikayat hai ki ek arse se main ne kuchh likha likha ya nahin

'iqbaal' ne kaha tha
nale bulbul ke sunun aur hama-tan gosh rahun

ham-nawa main bhi koi gul hun ki khamosh rahun
phir 'faiz' ne kaha tha

bol ki lab aazad hain tere
bahut uksata hun apne-ap ko

lekin zaban ki girah khulti hi nahin
aur dil ka shoala-lab mojiz-bayan par aata hi nahin

hae 'nasir'-kazmi'
bas 'ghaalib' ki tarah kan lapet kar baith jata hun

khula kar faeda arz-e-hunar mein khak nahin
bolunga to sunega kaun

kisi ke kan mein pad bhi gai to samjhega kaun
aaj-kal to bade bade khad-penchon ki haalat ye hai

ki koi sunta hai to samajhta nahin
koi samajhta hai to sunta nahin

aur bahut hain jo sunte bhi nahin samajhte bhi nahin
phir mere pas nale ko hai kiya

kaun si zaruri baat hai jo an-kahi rah gai hai
sare falsafe sare nazariye sare masail to bayan ho chuke

shairon ne latif se latif jazbe ko sau sau tarah se bandh dala
mausiqaron ne nazuk se nazuk ehsas ko paband le kar diya

na kisi ke liye kuchh kahne ko baqi hai
na kisi mein sunne ka yara hai

yahi ghanimat hai ki dil bhar aae to munh hi munh mein kuchh badbada len
aakhir jab khuda ne abhi khudai na banai thi

to akele mein kya karta ho wo
khud hi bolta hoga khud hi sunta hoga wo

mera ye maqam to nahin lekin haalat yahi hai
khud hi bolta hun khud hi sunta hun

bas ye samajh mein nahin aata ki kaha kya hai aur suna kya hai
waise ye samjhe samjhane wali baat bhi tedhi khair hai

'ghaalib' ne kaha tha
bak raha hun junun mein kya kya kuchh kuchh na samjhe khuda kariye koi

aur is se pahle 'mir-dard' ne bahut dard se bataya tha
samajhte the na magar sunte the tarana-e-dard samajh mein aane laga jab to phir suna na gaya

wassalam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close