nazm

gharon mein rahiye
waba badan se nikal ke aankhon tak aa gai hai

hua ke tewar badal gae hain
parinde pedon se dar gae hain

hazaron insan mar gae hain
namaz-e-juma ka sara manzar badal gaya hai

tawaf-e-kaba bhi ruk gaya hai
aur aisa lagta hai

ye zamin ab ke apni hujjat tamam karne mein lag gai hai
mere azizo

ab aise mausam mein
is waba ka ilaj wo hai

jo mere aaqa ne aaj se chaudah sadiyon pahle bata diya tha
ki jo jahan hai wahin pe thahre

sau yaad rakhiye
gharon mein rahiye

qayam kije
ki aisa karne se ain mumkin hai

aap lakhon hazaron jaanen bacha gae hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close