nazr-e-iqbaal

ai mere aagahi ke payambar
main tujhe kaun se harf ki nazr dun

harf banjar hain
jazbon se sachchaiyan chhin gain

khwab udti hui dhul ki tarah
aankhon mein chubhte hain

goya zaban ret ka ek tuda
bayan sakht pathrile sahil pe phaili hui

be-samar jhadiyan
apne be-faiz sae se khud munjamid

fahm-o-idrak-o-ehsas yun be-asar
jaise main ek khandar

aur tu mujh mein lafzon ka zinda shajar
apni pur-pech banhon se saya-fagan

aur main be-khabar
mere zinda shajar

tere sae mein aaindagan ki mahak
teri sarsar mein bhi raftagan ki garaj

tere phal-phul dahki hui aagahi
aagahi se numu aur numu se khudi

munjamid mausamon mein hamare liye
raushni ki khabar

mere zinda shajar
mere zinda shajar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close