paheli

halka-phulka sa badan
buta sa qad

us pe gharare ka bojh
nak ki laung chamakti hui hire ki kani

aur kanon mein mahakti hui taza champa
aankh par mote se shishe ki purani ainak

gal mein pan daba
ek aanchal mein bandhe thode se tute paise

nefe mein adse hue note karare do-chaar
aur qamar-band mein chabi ka wo bhaari guchcha

raat din ek hi kaam
ghar-girhasti mein maze se masruf

tum kahin pichhle janam shahd ki makkhi to na thin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close