piya KHamosh hai mera

bahut gum-sum bahut khamosh hai
wo chand arse se

samajh mein kuchh nahin aata
ki aakhir majra kya hai

wahi mausam wahi chahat
wahi rangat bhi phulon mein

magar ek us ki khamoshi ne is pur-kaif mausam ko
hamare waste mausam khizan ka bana dala

parinde ab bhi baghon mein chahakte hain
ghataen ab bhi aati hain

hawaen ab bhi chalti hain
magar phir bhi masarrat dil ko kyun hasil nahin hoti

wajh ye hai
piya khamosh hai mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close