pyar ka tohfa

kargar ho gai ahbab ki tadbir ab ke
mang li aap hi diwane ne zanjir ab ke

jis ne har dam mein aane mein takalluf barta
le udi hai use zulf-e-girah-gir ab ke

jo sada husn ki aqlim mein mumtaz rahe
dil ke aaine mein utri hai wo taswir ab ke

khwab hi khwab jawani ka muqaddar the kabhi
khwab se badh ke gale mil gai tabir ab ke

ajnabi khush hue apnon ne duaen mangin
is saliqe se sanwari gai taqdir ab ke

yar ka jashn hai aur pyar ka tohfa hain ye sher
khud-ba-khud ek dua ban gai tahrir ab ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close