zinda rahne ka ye ehsas

ret mutthi mein kabhi thahri hai
pyas se us ko ilaqa kya hai

umr ka kitna bada hissa ganwa baitha main
jaante bujhte kirdar darame ka bana

aur is rol ko sab kahte hain
hoshiyari se nibhaya main ne

hansne ke jitne maqam aae hansa
bas mujhe rone ki saat pe khajil hona pada

jaane kyun rone ke har lamhe ko
tal deta hun kisi agli ghadi par

dil mein khauf o nafrat ko saja leta hun
mujh ko ye duniya bhali lagti hai

bhid mein ajnabi lagne mein maza aata hai
aashna chehron ke badle hue tewar mujh ko

haal se mazi mein le jate hain
kuhniyan zakhmi hain aur ghutnon par

kuchh kharashon ke nishan
sondhi mitti ki mahak khinche liye jati hai

titliyan phul hawa chandni kankar patthar
sab mere sath mein hain

sans be-khaufi se leta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close