sabaq bas khelne khane ka jis ko yaad hota hai bada ho kar wo ladka ek din ustad hota hai na aae master jis din padhane mere darje mein zara si der ko us din mera dil shad hota hai jo maula-bakhsh se wo pitte hain mujh ko maktab mein koi samjhae un ko waqt bhi barbaad hota hai banaya jata hun murgha main jis din apne maktab mein to us din dard se ye dil bahut nashad hota hai samajh mein kuchh nahin aata ki maqsad kya hai padhne ka maza bhi kuchh nahin hai waqt bhi barbaad hota hai khuda ke fazl se jis din bukhar aata hai teacher ko to us din apna maktab bhi bahut aabaad hota hai jo halwa rakh ke almari mein aapi band karti hain khilati hain na khati hain pada barbaad hota hai agar hon mehrban teacher to tum dekhoge ai 'nuri' sabaq jis ko nahin ho yaad wo bhi shad hota hai