rishton ki pahchan

hamein sab pata hai
ki hum dhartiyon ke nirale fusun se

azal se shanasa hain
aur nil-gun aasmanon ka nashsha bhi

hum ne chakha hai
unhen gham yahi hai ki un ke saron par

koi aasman hai na panw ke niche zamin hai
faqat ek kharida hua karb-e-qismat hai un ki

hamein sab pata hai
unhen lautna hai pasheman ho kar

safar ke dukhon se pareshan ho kar
ki dharti ka aur aasmanon ka rishta

azal se purana hai
aur ek hi sut mein hum piroe hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close