ruh-e-arzi aadam ka istiqbaal karti hai

khol aankh zamin dekh falak dekh faza dekh!
mashriq se ubharte hue suraj ko zara dekh!

is jalwa-e-be-parda ko parda mein chhupa dekh!
ayyam-e-judai ke sitam dekh jafa dekh!

betab na ho marka-e-bim-o-raja dekh!
hain tere tasarruf mein ye baadal ye ghataen

ye gumbad-e-aflak ye khamosh fazaen
ye koh ye sahra ye samundar ye hawaen

thin pesh-e-nazar kal to farishton ki adaen
aaina-e-ayyam mein aaj apni ada dekh!

samjhega zamana teri aankhon ke ishaare!
dekhenge tujhe dur se gardun ke sitare!

napaid tere bahr-e-takhayyul ke kinare
pahunchenge falak tak teri aahon ke sharare

tamir-e-khudi kar asar-e-ah-e-rasa dekh
khurshid-e-jahan-tab ki zau tere sharar mein

aabaad hai ek taza jahan tere hunar mein
jachte nahin bakhshe hue firdaus nazar mein

jannat teri pinhan hai tere khun-e-jigar mein
ai paikar-e-gul koshish-e-paiham ki jaza dekh!

nalanda tere ud ka har tar azal se
tu jins-e-mohabbat ka kharidar azal se

tu pir-e-sanam-khana-e-asrar azal se
mehnat-kash o khun-rez o kam-azar azal se

hai rakib-e-taqdir-e-jahan teri raza dekh!
the spirit of the earth welcomes adam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close