sabr ki chadar tah kar di

koi aag piye ki zahr piye
ya sanp dase ki maut mare

ab dhup ke jal-thal dariya se
koi apne munh mein ret bhare

hum ne to piyala ulat diya
aur ulat diya

har ek manzar
jab sham ki aanhken khun huin

aur budla boti boti thi
ye basti zulm ki zulmat mein

tab kachchi dhup chabaati thi
aur dariya piti jati thi

miswak zamin mein gad di hai
ab raat se raat nikali hai

aur aag mein dali mast dhamal
aur rakh mein rakh mila di hai

ab khair ki khatm hui ummid
ab phanko ret

aur dhup piyo
ya sanp dase ki maut maro

hum ne to piyala ulat diya
aur sabr ki chadar tah kar di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close