tasalsul

kab se sunsan kharabon mein pada tha ye jahan
kab se khwabida the is wadi-e-khara ke sanam

kis ko malum ye sadiyon ke pur-asrar bharam
kaun jaane ki ye patthar bhi kabhi the insan

sirf lab-dokht parbat hain jahan nauha-kunan
na dar-o-baam na diwar o daricha koi

koi dahliz-e-shikasta na harim-e-viran
shahr ke shahr hain patal ke daman mein nihan

kaun pahchanta zulmat hain siyahi ke nishan
jo nazar dhundne utthi wo nazar bhi khoi

chashm-e-mahtab bhi shabnam ki jagah khun roi
ilm ne aaj kurede hain wo zulmat ke dher

waqt ne jis pe bithae the fana ke pahre
jag uthe sur-e-sarafil se gunge bahre

ta-abad jin ke muqaddar mein thi duniya andher
ye magar azmat-e-insan hai ki taqdir ke pher?

ye imaraat, ye minar, ye gulzar, ye khet
toda-e-khak se hasti ne liya taza janm

ji uthe wadi-e-khamosh ke be-jaan sanam
phir koi chirega zarre ka jigar qatra-e-yam

dafn kar dega jo khaliq ko bhi makhluq samet
aur ye aabaadiyan ban jaengi phir ret hi ret


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close