sabza-e-begana

hasab-nasab hai na tarikh o ja-e-paidaish
kahan se aaya tha mazhab na waldiyat malum

maqami chhote se khairaati aspatal mein wo
kahin se laya gaya tha wahan ye hai marqum

mariz raaton ko chillata hai mire andar
asir zakhmi parinda hai ik, nikalo ise

gulu-girafta hai ye habs-e-dam hai khaif hai
sitam-rasida hai mazlum hai bacha lo ise

mariz chikhta hai dard se karahta hai
ye wietnam, kabhi dominican, kabhi kashmir

zar-e-kasir, siyah qaumen, kham madniyat
kasif tel ke chashme, awam, istehsal

zamin ki maut bahaim, fizai jang, sitam
ijara-dari, subuk gam, dilruba, atfal

sarod-o-naghma, adab, sher, amn, barbaadi
janaza ishq ka, daf ki sadaen, murda khayal

taraqqi, ilm ke gahware, ruh ka madfan
khuda ka qatl, ayan zer-e-naf zohra jamal

tamam raat ye be-rabt baaten karta hai
mariz sakht pareshani ka sabab hai yahan

gharaz ki jo tha shikayat ka ek daftar tha
natija ye hai usi roz muntaqil karke

use ek aur shifa-khane ko rawana kiya
suna gaya hai wahan nafsiyat ke mahir

tabib haziq o nabbaz doctor kitne
talab kiye gae aur sab ne ittifaq kiya

ye koi zehni maraz hai, mariz ne shayad
kabhi parinda koi pala hoga lekin wo

adam-e-tawajjohi ya ittifaq se yunhi
bichaara mar gaya us maut ka asar hai ye

ajib chiz hai taht-e-shuur insan ka
ye aur kuchh nahin ehsas-e-jurm hai jis ne

dil o dimagh pe qabza kiya hai is darja
mariz qatil o mujrim samajhta hai khud ko!

kisi ki rae thi pasmanda qaum ka ek fard
mariz hoga isi waste siyah qaumen

gharib ke liye ek taboo ban gain afsos
koi ye kahta tha ye asal mein hai hubb-e-watan

mariz chahta tha hum kafil hon apne
kisi bhi qaum ke aage na hath phailaen

yahin pe tel ke chashme hain, wo karen daryaft!
guman kuchh ko tha ye shakhs koi shaer hai

jo chahta tha jahan-gardi mein guzare waqt
hasin aurten mail hon lutf-o-aish rahe

qalam ke zor se shohrat mile zamane mein
zar-e-kasir bhi hath aae is bahane se

magar gharib ki sab koshishen gain nakaam
shikast-e-paiham o ehsas-e-na-rasai ne

ye haal kar diya majruh hogae aasab
gharaz ki nukta-rassi mein guzar gaya sab waqt

wo chikhta hi raha dard ki dawa na mili
nashist baad nashist aur muaene shab o roz

inhin mein waqt guzarta gaya shifa na mili
phir ek sham wahan surma-dar-gulu aai

jo us ke waste goya tabib-e-haziq thi
kisi ne phir na suni dard se bhari aawaz

karahta tha jo khamosh ho gaya wo saz
baras guzar gae is waqie ko, mazi ki

andheri god ne kab ka chhipa liya us ko
magar suna hai shifa-khane ke dar-o-diwar

wo gird-o-pesh jahan se kabhi wo guzra tha
kharabe bastiyan jangal, ujad rah-guzar

usi ki chikh ko dohrae ja rahe hain abhi
koi mudawa karo zalimo mere andar

asir zakhmi parinda hai ek nikalo ise
gulu-girafta hai ye habs-e-dam hai khaif hai

sitam-rasida hai mazlum hai bacha lo ise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close