purane boot hain tasme khule hain abhi mitti ke chehre un-dhule hain sharaben aur mashkiza sahar ka abhi hai jism pakiza gajar ka sute chehre pe istehza ka mausam lahu nabzon se khali kar gaya hai gale mein mulk ke tawiz dalo bidesi barchhiyon se dar gaya hai ghazal dalan mein rakkhi hai main ne mahak hai sangtare ki qash jaisi ye kaisi mai hai jo chakkhi hai main ne mujhe ushshaq ye kahte hain 'amir' bahut tanha sisakte dahr mein ho! bade shaer ho chhote shahr mein ho fareb-e-asr se madhosh kamra nigodi titliyon se bhar gaya hai samundar pindliyon tak aate aate kisi patthar ki sil par mar gaya hai saloni sardiyon se jhankte hain wo abru kashtiyon ko hankte hain sileti baadalon ka ye sahifa meri mutthi mein padhta hai wazifa main rota hun to ro padte hain tair mere hujre mein kam aate hain zaer ye poren nur-bafi kar rahi hain mohabbat ko ghilafi kar rahi hain tafakhur mein hai do honton ka kham bhi abhi rakkha nahin main ne qalam bhi
Please share if you liked this!!!