ye sari duniya sawaliya hai har ek chehra sawal andar sawal hai aur har ek manzar sawal ban kar jawab ka muntazir khada hai agar koi samne bhi aae aur aa ke ek baat ka bhi hum ko jawab de de to dar-haqiqat jawab mein bhi na jaane kitne sawal honge hazar-ha nit-nae masail hamein milenge ki aaj tak to yahi hua hai jawab hi se sawal nikle jawab hi mein sawal dhunde ye sari duniya sawaliya hai khud aadmi ek sawal hai aur usi ne paiham sawal utha ke sawal karne ki rit dali sawal-e-awwal bhi aadmi hai sawal-e-akhir bhi aadmi hai jawab-e-mutlaq bhi aadmi hai agar yaqin ho to aadmi par kamand dalen sawal hi mein jawab dhunden