us din

basen chalti rahengi apne routon par
trailer yunhi bandar-gah se saman laenge

jahazon aur trainon ke
schedule aur time-table mein

na koi farq aaega
na koi masala hoga

dukanon kar-khanon daftaron mein
haziri mamul ki hogi

double-roti banegi aur tannuron mein
khamiri roghni sadi

sabhi aqsam ki roti lagegi
aur shikam-seri ki khatir pitza bargar siri-pae nahaari ke

banane aur pakane mein
zara bhi jo kami hogi

main jis din mar gaya us din
raqiq-ul-qalb hain jo chahne wale

bahut ro ro ke apna sham ek
barbaad kar lenge

jo jazbaati nahi itne
wo kuchh pite hue is raat mujh ko yaad kar lenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close