sawal sawal siyah kashkol

muddaton se
khamoshi ke be-ant warnon ki andhi gupha mein

khada wo
meri putliyon mein

sawalon ka neza utare hue puchhta hai
main teri tamanna mein apne liye

dard ke ek siyah-ru samundar se
tanhaiyon ke siyah sip laya

sukh ke sare diye
aur

masarrat ki malaon ko tod kar
dukh ka war main ne manga

ki tu meri rakhsha ko aae
magar mujh ko kyun

in aziyyat ki kali salibon pe
khamoshiyon ki darinda-sifat kil se jad diya hai

mujhe kis liye
phenka gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close